zamin pe eḌi ragaḌ ke paani nikalta huun
main tishnagi ke na.e ma.ani nikalta huun
vahi baramad karunga jo chiiz kaam ki hai
zaban ke batin se be-zabani nikalta huun
falak pe likhta huun ḳhak-e-ḳhvabida ke manazir
zamin se rang-e-asmani nikalta huun
kabhi kabutar ki tarah lagta hai abr mujh ko
kabhi hava se koi kahani nikalta huun
bahut zaruri hai mera apni hadon men rahna
so bahr se ḳhud hi be-karani nikalta huun
kabhi mulaqat ho mayassar to is se pahle
dimagh se saari ḳhush-gumani nikalta huun
jo chheḌta huun naya koi naghma-e-mohabbat
to saz-e-dil se dhunen purani nikalta huun
koi Thahar kar bhi dekhna chahta huun manzar
isi liye tab.a se ravani nikalta huun
‘zafar’ mire samne Thaharta nahin hai koi
to apne paikar se apna saani nikalta huun
Leave a Reply