zamin par na rahe asman ko chhoḌ diya
tumhare ba.ad zaman o makan ko chhoḌ diya
tabah kar gaya ik lamha-e-ḳharab mujhe
ki main ne halqa-e-avargan ko chhoḌ diya
kahin panah nahin milti lamha bhar ke liye
ki jab se mahfil-e-dil-dadgan ko chhoḌ diya
bas ek kunj-e-ḳhas-o-ḳhak men sukun mila
so main ne halqa-e-sayyargan ko chhoḌ diya
tumhare ba.ad guzishta raha na haal raha
so dil ne ḳhadsha-e-a.indagan ko chhoḌ diya
Leave a Reply