kabhi jo nuur ka maz.har raha hai
vo kin tarikiyon men mar raha hai
kisi suraj ka TukḌa toḌ laa.en
zamin ka jism ThanDa paḌ raha hai
kahin asar DhunDen zindagi ke
kabhi ye chand mera ghar raha hai
mata-e-asman bhi luT na jaa.e
sitare par sitara gir raha hai
hava men lafz likkhe ja rahe hain
koi zaḳhmi parinda uḌ raha hai
Leave a Reply