use bhulne ka sitam kar rahe hain
ham apni aziyyat ko kam kar rahe hain
hamari nigahon se sapne chura kar
vo kis ki nigahon men zam kar rahe hain
hayat-e-ravan ki har ik na-rava.i
ham apne lahu se raqam kar rahe hain
bhali kyuun lage ham ko ḳhushiyon ki dastak
abhi ham mohabbat ka gham kar rahe hain
kise dukh suna.en sabhi to yahan par
shumar apne apne alam kar rahe hain
suḳhan ko siyasat ka ziina dikha kar
tamasha ye ahl-e-qalam kar rahe hain
Leave a Reply