namkin harf hai mira ye fasih
kullo shaiin minal-malih malih
va qina rabbana azabannar
shama ki hai hamesha ye tasbih
laminal-maa kullo shaiin hay
sharb-e-mai se hua hai mujh ko sahih
mislahu laisa vahidun gharra
mah-e-kanan bhi tha agarche fasih
ji men aave so kah tu ‘taban’ ko
laisa min fiika shatamna be-qabih
Leave a Reply