• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tilism-E-Nashsha-E-Duniya Bhi Aaj KHatm Hua

Tilism-E-Nashsha-E-Duniya Bhi Aaj KHatm Hua

tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj ḳhatm hua

jo ho raha tha tamasha bhi aaj ḳhatm hua

mila jo us se to us ne bhi pher li nazren

chalo ye aḳhiri rishta bhi aaj ḳhatm hua

gira zamin pe sitara ye kis ke mizhgan se

ye kis ke dil ka sahara bhi aaj ḳhatm hua

mile jo barson ke pyase to aise ek hue

ki ehtiyat ka pahra bhi aaj ḳhatm hua

jo rafta-rafta hui ḳhatm vaz-e-derina

mohabbaton ka saliqa bhi aaj ḳhatm hua

tumhari yaad se samjhauta kar liya main ne

ḳhayal-e-va.ada-e-farda bhi aaj ḳhatm hua

na jaane kaise tujhe apna maan baiTha tha

miri nazar ka vo dhoka bhi aaj ḳhatm hua

tire taghaful-e-paiham ne kar diya mayus

mira vo zauq-e-tamanna bhi aaj ḳhatm hua

vo dil bhi le ga.e pahlu se uTh ke ai ‘tabish’

ye roz roz ka jhagḌa bhi aaj ḳhatm hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chalan Is Doghli Duniya Ka Gar Manzur Ho Jata

Ye zaKHm zaKHm Badan Aur Nam Fazaon Mein

sahir-ludhianvi

Mere dil Mein Aaj Kya Hai Tu Kahe To Main Bata dun

jaun-eliya

Maine Har Bar Tujhse Milte Waqt

Ishq Dushwar Nahin KHush-Nazari Mushkil Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet