zamin par mo.ajiza karne ki sazish
buton ko devta karne ki sazish
hamara chiḳhna jismon ke andar
ḳhamoshi ko sada karne ki sazish
daraḳhton par banana naqsha dil ke
inhen goya hara karne ki sazish
kushada ik qafas hai asman bhi
ise kiije ḳhala karne ki sazish
hamin se manzilon ka kaam lena
hamin ko rasta karne ki sazish
ye har mausam parindon ko uḌana
ye pinjron ko ḳhafa karne ki sazish
tujhe mujh se tavaqqo.a hi nahin kuchh
mujhe ya.ani ḳhuda karne ki sazish
Leave a Reply