guzar gaya jo nazar se nazar ka hissa hai
shajar se uḌta parinda shajar ka hissa hai
tumhara dard agar dard-e-na-rasa.i hai
tumhara dard hamare jigar ka hissa hai
na vo tumhare yahan hai na vo hamare yahan
udaas chulha kaho kis ke ghar ka hissa hai
jahan ke log ḳhuda ke karam pe zinda hain
ilaqa vo bhi hamare nagar ka hissa hai
safar safar hai safar men paḌav kya ma.ani
tira vajud tiri rahguzar ka hissa hai
bana rahe jo hamesha vo ghar bana hi nahin
makan tumhara tumhare safar ka hissa hai
Leave a Reply