• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zamin Badli Falak Badla Mazaq-E-Zindagi Badla

Zamin Badli Falak Badla Mazaq-E-Zindagi Badla

zamin badli falak badla mazaq-e-zindagi badla

tamaddun ke qadim aqdar badle aadmi badla

ḳhuda-o-ahrman badle vo iman-e-dui badla

hudud-e-ḳhair-o-shar badle mazaq-e-kafiri badla

na.e insan ka jab daur-e-ḳhud-na-agahi badla

rumuz-e-be-ḳhudi badle taqaza-e-ḳhudi badla

badalte ja rahe hain ham bhi duniya ko badalne men

nahin badli abhi duniya to duniya ko abhi badla

na.i manzil ke mir-e-karvan bhi aur hote hain

purane ḳhizr-e-rah badle vo tarz-e-rahbari badla

kabhi socha bhi hai ai nazm-e-kohna ke ḳhuda-vando

tumhara hashr kya hoga jo ye aalam kabhi badla

udhar pichhle se ahl-e-mal-o-zar par raat bhari hai

idhar bedari-e-jamhur ka andaz bhi badla

zahe soz-e-gham-e-adam ḳhusha saz-e-dil-e-adam

isi ik sham.a ki lau ne jahan-e-tirgi badla

na.e mansur hain sadiyon purane sheḳh-o-qazi hain

na fatve kufr ke badle na uzr-e-dar hi badla

bata.e to bata.e us ko teri shoḳhi-e-pinhan

tiri chashm-e-tavajjoh hai ki tarz-e-be-ruḳhi badla

ba-faiz-e-adam-e-ḳhaki zamin sona ugalti hai

usi zarre ne daur-e-mehr-o-mah-o-mushtari badla

sitare jagte hain raat laT chhaTka.e soti hai

dabe paanv kisi ne aa ke ḳhvab-e-zindagi badla

‘firaq’ ham-nava-e-‘mir’-o-‘ghalib’ ab na.e naghme

vo bazm-e-zindagi badli vo rang-e-sha.iri badla

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Mein KHushbu Si Utar Jati Hai Sine Mein Nur Sa Dhal Jata Hai

Kahin Kahin Se Pur-Asrar Ho Liya Jae

ahmad-ali-barqi-azmi

Ibn-e-Adam Barsar Paikar Hai

poet

Aks-E-Raushan Tera Aaina-E-Jaan Mein Rakkha

Wahm Hai Ya Ek Guman Hai Zindagi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet