dil kisi ḳhvahish ka uksaya hua
phir machal uTTha hai bahlaya hua
ja tujhe tere havale kar diya
khench le ye haath phailaya hua
jis tarah hai ḳhushk patton ko hava
mere hisse men hai tu aaya hua
ye bagule hain ki istiqbal-e-qais
phir raha hai dasht ghabraya hua
bazm men bas ik ruḳh-e-raushan ke faiz
jo jahan maujud tha saaya hua
kya karun ai kar-e-duniya kya karun
vo mujhe hai phir se yaad aaya hua
Leave a Reply