sahme nahif dariya ke dhare ki baat kar
ab dasht-e-be-karan ke kinare ki baat kar
duniya ke mas.alon men mujhe bhi sharik rakh
mere darida dil ke bhi chare ki baat kar
rahne de zikr-e-sud kisi aur vaqt par
rah-e-vafa men mere ḳhasare ki baat kar
me.aar ke na mujh ko kam-o-besh men parakh
tujh ko agar qubul huun saare ki baat kar
ham boriya-nashin tire shaah bhi to hain
ya lauT ja ya saath guzare ki baat kar
ab asman saara miri dastaras men hai
ungli uTha kisi bhi sitare ki baat kar
Leave a Reply