main ho ke tire gham se nashad bahut roya
raton ke taiin kar ke fariyad bahut roya
hasrat men diya ji ko mehnat ki na hui rahat
main haal tira sun kar farhad bahut roya
gulshan se vo juun laaya bulbul ne diya ji ko
qismat ke upar apni sayyad bahut roya
nashtar to lagata tha par khuun na nikalta tha
kar fasd miri akhir fassad bahut roya
kar qatl mujhe un ne aalam men bahut dhunda
jab mujh sa na kui paaya jallad bahut roya
jab yaar mira bigda khat aae se ai ‘taban’
tab husn ko main us ke kar yaad bahut roya
Leave a Reply