tiri ulfat men jitni meri zillat baḌhti jaati hai
qasam hai rabb-e-izzat ki ki izzat baḌhti jaati hai
ḳhudaya ḳhair ho mamur-ha-e-rub miskin ki
ki ab dil khol kar rone ki aadat baḌhti jaati hai
kisi ko yaad kar ke ek din ḳhalvat men roya tha
nahin malum kyuun jab se nadamat baḌhti jaati hai
kahan taqat sunane ki kise fursat hai sunne ki
ki mujmal hote hote bhi hikayat baḌhti jaati hai
kahan main aur kahan teri nigah-e-lutf ai saaqi
ḳhuda jaane ye kyuun mujh par inayat baḌhti jaati hai
ye mera shisha-e-dil hai ḳhazaf-reza nahin hamdam
shikasta jis qadar hota hai qimat baḌhti jaati hai
idhar tahsin-e-ara.ish ki ḳhvahish husn-e-ḳhud-bin ko
yahan jazbat-e-pinhan ki hifazat baḌhti jaati hai
ghazab ka jazb hai ‘vasif’ nigah-e-mast men us ki
manazil qat.a hote hain azimat baḌhti jaati hai
Leave a Reply