shair
sahil-e-dariya pe main ik raat tha mahv-e-nazar
gosha-e-dil men chhupae ik jahan-e-iztrab
shab sukut-afza hava asuda dariya narm sair
thi nazar hairan ki ye dariya hai ya tasvir-e-ab
jaise gahvare men so jaata hai tifl-e-shir-khvar
mauj-e-muztar thi kahin gahraiyon men mast-e-khvab
raat ke afsun se taair ashiyanon men asiir
anjum-e-kam-zau giraftar-e-tilism-e-mahtab
dekhta kya huun ki vo paik-e-jahan-paima khizr
jis ki piiri men hai manind-e-sahar rang-e-shabab
kah raha hai mujh se ai juya-e-asrar-e-azal
chashm-e-dil va ho to hai taqdir-e-alam be-hijab
dil men ye sun kar bapa hangama-e-mahshar hua
main shahid-e-justuju tha yuun sukhan-gustar hua
ai tiri chashm-e-jahan-bin par vo tufan ashkar
jin ke hangame abhi dariya men sote hain khamosh
kashti-e-miskin-o-jan-e-pak-o-divar-e-yatim
ilm-e-musa bhi hai tire samne hairat-farosh
chhod kar abadiyan rahta hai tu sahra-navard
zindagi teri hai be-roz-o-shab-o-farda-o-dosh
zindagi ka raaz kya hai saltanat kya chiiz hai
aur ye sarmaya-o-mehnat men hai kaisa kharosh
ho raha hai asia ka khirqa-e-derina chaak
naujavan aqvam-e-nau-daulat ke hain pairaya-posh
garche askandar raha mahrum-e-ab-e-zindagi
fitrat-e-askandari ab tak hai garm nao-nosh
bechta hai hashmi namus din-e-mustafa
khak-o-khun men mil raha hai turkaman-e-shakht-kosh
aag hai aulad-e-ibrahim hai namrud hai
kya kisi ko phir kisi ka imtihan maqsud hai
javab-e-khizr
sahra-navardi
kyuun taajjub hai miri sahra-navardi par tujhe
ye taga-pu-e-damadam zindagi ki hai dalil
ai rahin-e-khana tu ne vo saman dekha nahin
gunjti hai jab faza-e-dasht men bang-e-rahil
ret ke tiile pe vo aahu ka be-parva khiram
vo hazar be-barg-o-saman vo safar be-sang-o-mil
vo numud-e-akhtar-e-simab-pa hangam-e-subh
ya numayan bam-e-gardun se jabin-e-jibrail
vo sukut-e-sham-e-sahra men ghurub-e-aftab
jas se raushan-tar hui chashm-e-jahan-bin-e-khalil
aur vo paani ke chashme par maqam-e-karvan
ahl-e-iman jas tarah jannat men gird-e-salsabil
taaza virane ki sauda-e-mohabbat ko talash
aur abadi men tu zanjiri-e-kisht-o-nakhil
pukhta-tar hai gardish-e-paiham se jam-e-zindagi
hai yahi ai be-khabar raz-e-davam-e-zindagi
zindagi bartar az sud-o-ziyan hai zindagi
zindagi bartar az andesha-e-sud-o-ziyan hai zindagi
hai kabhi jaan aur kabhi taslim-e-jan hai zindagi
tu ise paimana-e-imroz-o-farda se na naap
javedan paiham davan har-dam javan hai zindagi
apni duniya aap paida kar agar zindon men hai
sirr-e-adam hai zamir-e-kun-fakan hai zindagi
zindagani ki haqiqat kohkan kai dil se puchh
ju-e-shir-o-tesha-o-sang-e-garan hai zindagi
bandagi men ghat ke rah jaati hai ik ju-e-kam-ab
aur azadi men bahr-e-be-karan hai zindagi
ashkara hai ye apni quvvat-e-taskhir se
garche ik mitti ke paikar men nihan hai zindagi
qulzum-e-hasti se to ubhra hai manind-e-habab
is ziyan-khane men tera imtihan hai zindagi
khaam hai jab tak tu hai mitti ka ik ambar tu
pukhta ho jaae tu hai shamsher-e-be-zinhar tu
ho sadaqat ke liye jis dil men marne ki tadap
pahle apne paikar-e-khaki men jaan paida kare
phunk daale ye zamin-o-asman mustaar
aur khakistar se aap apna jahan paida kare
zindagi ki quvvat-e-pinhan ko kar de ashkar
ta ye chingari frogh-e-javedan paida kare
khak-e-mashriq par chamak jaae misal-e-aftab
ta-badakhshan phir vahi laal-e-giran paida kare
su-e-gardun nala-e-shab-gir ka bheje safir
raat ke taron men apne raz-dan paida kare
ye ghadi mahshar ki hai to arsa-e-mehshar men hai
pesh kar ghafil amal koi agar daftar men hai
saltanat
aa bataun tujh ko ramz-e-aya-e-innal-muluk
saltanat aqvam-e-ghalib ki hai ik jadugari
khvab se be-dar hota hai zara mahkum agar
phir sula deti hai us ko hukmaran ki sahiri
jadu-e-mahmud ki tasir se chashm-e-ayaz
dekhti hai halqa-e-gardan men saz-e-dil-bari
khun-e-israil aa jaata hai akhir josh men
tod deta hai koi muusa tilism-e-samari
sarvari zeba faqat us zat-e-be-hamta ko hai
hukmaran hai ik vahi baaqi butan-e-azari
az ghulami fitrat-e-azad ra rusva makun
ta-tarashi khvaja-e-az-barahman kafir tiri
hai vahi saz-e-kuhan maghrib ka jamhuri nizam
jis ke pardon men nahin ghair-az-nava-e-qaisari
dev-e-istibdad jamhuri qaba men pa-e-kub
tu samajhta hai ye azadi ki hai nilam-pari
majlis-e-ain-o-islah-o-riayat-o-huquq
tibb-e-maghrib men maze mithe asar khvab-avari
garmi-e-guftar aza-e-majalis al-aman
ye bhi ik sarmaya-daron ki hai jang-e-zargari
is sarab-e-rang-o-bu ko gulistan samjha hai tu
aah ai nadan qafas ko ashiyan samjha hai tu
sarmaya-o-mehnat
banda-e-mazdur ko ja kar mira paigham de
khizr ka paigham kya hai ye payam-e-kaenat
ai ki tujh ko kha gaya sarmaya-dar-e-hila-gar
shakh-e-ahu par rahi sadiyon talak teri barat
dast-e-daulat-afrin ko muzd yuun milti rahi
ahl-e-sarvat jaise dete hain gharibon ko zakat
sahir-al-mut ne tujh ko diya barg-e-hashish
aur tu ai be-khabar samjha use shakh-e-nabat
nasl qaumiyat kalisa saltanat tahzib rang
khvajgi ne khuub chun chun ke banae muskirat
kat mara nadan khayali devtaon ke liye
sukr ki lazzat men tu lutva gaya naqd-e-hayat
makr ki chalon se baazi le gaya sarmaya-dar
intiha-e-sadgi se kha gaya mazdur maat
uth ki ab bazm-e-jahan ka aur hi andaz hai
mashriq-o-maghrib men tere daur ka aghaz hai
himmat-e-ali to dariya bhi nahin karti qubul
ghuncha saan ghafil tire daman men shabnam kab talak
naghma-e-bedari-e-jamhur hai saman-e-aish
qissa-e-khvab-avar askandar-o-jam kab talak
aftab-e-taza paida batn-e-giti se hua
asman duube hue taron ka matam kab talak
tod dalin fitrat-e-insan ne zanjiren tamam
duri-e-jannat se roti chashm-e-adam kab talak
baghban-e-chara-farma se ye kahti hai bahar
zakhm-e-gul ke vaste tadbir-e-marham kab talak
kirmak-e-nadan tavaf-e-shama se azad ho
apni fitrat ke tajalli-zar men abad ho
duniya-e-islam
kya sunata hai mujhe turk-o-arab ki dastan
mujh se kuchh pinhan nahin islamiyon ka soz-o-saz
le gae taslis ke farzand miras-e-khalil
khisht-e-buniyad-e-kalisa ban gai khak-e-hijaz
ho gai rusva zamane men kulah-e-lala-rang
jo sarapa naaz the hain aaj majbur-e-niyaz
le raha hai mai-faroshan-e-farangistan se paars
vo mai-e-sarkash hararat jis ki hai mina-gudaz
hikmat-e-maghrib se millat ki ye kaifiyyat hui
tukde tukde jis tarah sone ko kar deta hai gaaz
ho gaya manind-e-ab arzan musalman ka lahu
muztarib hai tu ki tera dil nahin dana-e-raz
guft ruumi har bana-e-kuhana ki-abadan kunand
mi na-dani avval aan buniyad ra viran kunand
mulk hathon se gaya millat ki ankhen khul gaiin
haq tira chashme ata kar dast-e-ghafil dar nigar
momyai ki gadai se to behtar hai shikast
mor-e-be-par hajate pesh-e-sulaimane mabar
rabt-o-zabt-e-millat-e-baiza hai mashriq ki najat
asia vaale hain is nukte se ab tak be-khabar
phir siyasat chhod kar dakhil hisar-e-din men ho
mulk-o-daulat hai faqat hifz-e-haram ka ik samar
ek huun muslim haram ki pasbani ke liye
niil ke sahil se le kar ta-ba-khak-e-kashghar
jo karega imtiyaz-e-rang-o-khun mit jaega
turk-e-khargahi ho ya arabi-e-vala-guhar
nasl agar muslim ki mazhab par muqaddam ho gai
ud gaya duniya se tu manind-e-khak-e-rah-guzar
ta-khilafat ki bina duniya men ho phir ustuvar
la kahin se dhund kar aslaf ka qalb-o-jigar
ai ki na-shinasi khafi ra az jali hushiyar baash
ai giraftar-e-abu-bakr-o-ali hushiyar-bash
ishq ko fariyad lazim thi so vo bhi ho chuki
ab zara dil thaam kar fariyad ki tasir dekh
tu ne dekha satvat-e-raftar-e-dariya ka uruuj
mauj-e-muztar kis tarah banti hai ab zanjir dekh
aam hurriyat ka jo dekha tha khvab islam ne
ai musalman aaj to us khvab ki tabir dekh
apni khakistar samundar ko hai saman-e-vajud
mar ke phir hota hai paida ye jahan-e-pir dekh
khol kar ankhen mire aina-e-guftar men
aane vaale daur ki dhundli si ik tasvir dekh
azmuda fitna hai ik aur bhi gardun ke paas
samne taqdir ke rusvai-e-tadbir dekh
muslim asti siina ra az arzu-abad daar
har zaman pesh-e-nazar la-yukhlif-ul-miad daar
Leave a Reply