jaane kya baat hai manus bahut lagta hai
ye jo ik ghair sa is bazm men aa baiTha hai
umr-bhar tu ne zamane ka kaha maana hai
dil ki avaz bhi sun dekh to kya kahta hai
mil bhi jaa.e jo koi naav to ab kya hasil
ab to dariya mire darvaze pe aa pahuncha hai
us ne dil jaan ke chheḌa use ma.alum na tha
mere pahlu men dahakta hua angara hai
mera ji jaane hai ya mera ḳhuda jaane hai
kya suna hai tire is shahr men kya dekha hai
haa.e kya dida-vari hai ki sahar-dam ye khula
jis ko ham sham.a samajhte rahe parvana hai
koi ro.e to hanso koi hanse to rovo
aaj ke daur men jiine ka yahi rasta hai
mere siine men ḳhunuk tirgiyan chhoḌ gaya
ek a.ina ki suraj ki tarah jalta hai
koi basti na koi peḌ na chashma koi
qafila umr-e-ravan ka ye kahan utra hai
jah-o-mansab ki havas ho to main kafir ‘shohrat’
main sag-e-ku-e-ali huun mera kya kahna hai
Leave a Reply