kaun sa tan hai ki misl-e-ruh is men tu nahin
kaun gul hai jo tira maskan ba-rang-e-bu nahin
jam-e-nargis men kahan shabnam jo nikle aftab
yaar ke aage miri ankhon men ik aansu nahin
yad-e-gesu men hua mera ye dhajji sa badan
mujh pe phabti kahte hain mubaf hai gesu nahin
jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka
dekh kar kahte hain sab taviz hai baazu nahin
dekhe hain hansne men jis din se dur-e-dandan-e-yar
chain misl-e-gauhar-e-ghaltan kisi pahlu nahin
ishq men badmast huun main par koi vaqif nahin
nashsha hai jam-e-mai-e-ulfat men lekin bu nahin
zulf-e-janan men nahin koi dil-e-vahshi asiir
ye ajab tatar hai jo ek bhi aahu nahin
ho gaya hai ye qiran-e-aftab o mah-e-nau
yaar ke rukhsar-e-atish-rang par abru nahin
ho gaya hai misl-e-mu tar-e-nigah apna siyah
aage ankhon ke sanam jab se tire gesu nahin
raat din naqus kahte hain ba-avaz-e-buland
dair se behtar hai kaaba gar buton men tu nahin
qumriyan divani hain kyunkar gale men ho na tauq
baagh men ik sarv misl-e-qamat-e-dil-ju nahin
Leave a Reply