isi ḳhayal se tark un ki chaah kar na sake
kahenge log ki do din nibah kar na sake
hamen jo dekh liya jhuk ga.i haya se aankh
idhar-udhar sar-e-mahfil nigah kar na sake
ḳhuda ke samne aaya kuchh is ada se vo shoḳh
ki munh se uf bhi zara dad-ḳhvah kar na sake
tire karam ka bharosa hi zahidon ko nahin
isi liye to ye khul kar nigah kar na sake
raha ye paas hamen aap ki nazakat ka
ki dil ka ḳhuun hua munh se aah kar na sake
tumhen ‘hafiz’ se nafrat hai to ye fikr hai kyuun
kisi hasin se vo rasm-o-rah kar na sake
Leave a Reply