Tujh But Ka Hun Main Barahman Kartar Ki Saugand Hai

tujh but ka huun main barahman kartar ki saugand hai

japta huun maala yaar ki zunnar ki saugand hai

banka husn sun kar tira khuban ne khaya pech-o-tab

ai nuk-palak tujh chehra-e-bal-dar ki saugand hai

khuban ki khubi hai khizan teri bahar aange sada

ashiq kuun ai gulfam tujh rukhsar ki saugand hai

rakhta huun tujh suun chashm ye dil ai mah-e-nur-e-nazar

aa ke khabar ik roz mujh bimar ki saugand hai

dariya-e-vahdat men tire ai gauhar-e-yakta-e-husn

paaya nahin saani tira sansar ki saugand hai

bin haar aae gul-rukhan tere gale padne katin

jiita to baare husn ke mizmar ki saugand hai

sharmindagi suun ja chhupaya quvvat apni kaan men

sun kar dur-afsani tiri guftar ki saugand hai

shamshir-e-abru bandh kar aaya sipahi nain ka

do tok dil hain ashiqan talvar ki saugand hai

sehn-e-chaman men gul-badan tan-zeb kiin tujh jaama kuun

nain sukh hai tera dekhna didar ki saugand hai

tujh hijr men dil ki fughan suun aankh naiin lagti kabhi

kamkhvab hai makhmal mira shab-e-tar ki saugand hai

ushshaq kuun rukhsat kiya de paan khirad ka yaar ne

rota hai nis din ‘mubtala’ ghar-bar ki saugand hai

Leave a Comment