varna zaḳhmi koi rahgir nahin ho sakta
is kaman-dar ka ye tiir nahin ho sakta
saya-dari key rivayat ka agar paas rakhen
phir khujuron ka to shahtir nahin ho sakta
dafn hain haath hamare isi malbe men kahin
ye ḳharaba kabhi ta.amir nahin ho sakta
kya sitam hai ki bichhaḌ kar tira phir se milna
vaj.h-e-tabdili-e-taqdir nahin ho sakta
aisi paivast hain pairon men ye kaḌiyan ki ‘faragh’
koi bhi shamil-e-zanjir nahin ho sakta
Leave a Reply