• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHud Meri Aankhon Se Ojhal Meri Hasti Ho Gai

KHud Meri Aankhon Se Ojhal Meri Hasti Ho Gai

ḳhud miri ankhon se ojhal meri hasti ho ga.i

a.ina to saaf hai tasvir dhundli ho ga.i

saans leta huun to chubhti hain badan men haDDiyan

ruuh bhi shayad miri ab mujh se baghi ho ga.i

faash kar diin main ne ḳhud andar ki be-tartibiyan

zindagi ara.ishon men aur nangi ho ga.i

pyaar karti hain mire raston se kya kya bandishen

toḌ di zanjir to divar unchi ho ga.i

meri janib aa.e pas-manzar se patthar be-shumar

rang-e-duniya dekh kar bina.i zaḳhmi ho ga.i

paḌ gaya parda sama.at par tiri avaz ka

ek aahaT kitne hangamon pe haavi ho ga.i

kar gaya hai mubtala-e-karb aur ik saneha

aur kuchh din zinda rahne ki talafi ho ga.i

ḳhvahishon ki aag bhi bhaḌka.egi ab kya mujhe

raakh bhi meri ‘muzaffar’ ab to ThanDi ho ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

imam-bakhsh-nasikh

Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Ziyaada

Go kaThin Hai Tai Karna Umr Ka Safar Tanha

Jab Se Teri Aankh Humse Phir Gai

Ajab Marhalon Se Guzara Gaya Main

Ek Wo Hi shaKHs Mujhko Ab Gawara Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet