haqiqaten hon mayassar to ḳhvab kyuun dekhun
main tishnagi men bhi samt-e-sarab kyuun dekhun
tamam-umr guzarni hai jab andheron men
to ek shab ke liye mahtab kyuun dekhun
mire makan ke darvaze band rahne do
main apni aankh se mausam ḳharab kyuun dekhun
varaq varaq tire dil ki kitab raushan ho
to chehra chehra naya intisab kyuun dekhun
jo Dubna hai to sail-e-azab men Dubun
fusun-e-mauj-o-tilism-e-habab kyuun dekhun
Leave a Reply