laakh dekhun tujhe phirti nahin niyyat meri
dil hai qaabu men mira ab na tabi.at meri
aa ke pahlu men mire baiTh main ho ja.un nisar
hai tamanna to yahi hai yahi hasrat meri
dam-e-aḳhir tu mire paas bhala aa be-dard
teri furqat men koi dam men hai ruḳhsat meri
qabr par meri agar fatiha paḌhne ke liye
vo jo aa jaa.en to tharra uThe turbat meri
tum ko dekha karun har vaqt sarapa huun fana
karti rah rah ke taqaza hai ye halat meri
zinda dargor huun lekin mujhe zinda na samajh
ek muddat jo yahi rah ga.i halat meri
kushta-e-naz huun jin ka hai unhin ka kaunain
sarvat-e-jam se uThegi vo hai mayyat meri
ba.ad-e-murdan bhi main bimar-e-mohabbat hi rahun
ta-qayamat na ho yarab kabhi sehat meri
hech duniya hai zar-o-mal hai sab hech magar
ik mohabbat tiri ‘mardan’ hai ye daulat meri
Leave a Reply