badshahi ho ki daryuza-gari ka mausam
bhulta hi nahin vo ham-safari ka mausam
khetiyan chhalon ki hoti thiin lahu ugte the
kitna zarḳhez tha vo dar-badari ka mausam
hirz-e-jan Thahre jo sahra men Thikana mil jaa.e
bastiyon men to hai ashufta-sari ka mausam
aao zaḳhmon se phir ik baar lipaT kar ro len
varna aane ko hai ab baḳhiya-gari ka mausam
roz-e-avval se hai chhaya hua mujh par ab tak
kirchiyan hone ka shaqq-ul-bashari ka mausam
ab kabhi lauT kar aa.ega na shayad ‘ajiz’
Duub kar piine ka daman ki tari ka mausam
Leave a Reply