bahana kar liya phir se haya ka
karen kya aap ki zalim ada ka
ibadat kar rahen hain vo ki ya.ani
ḳhuda bhi naam lete hain ḳhuda ka
hamari kashtiyan hain badbani
hamen karna paḌega kuchh hava ka
sharik-e-jurm hai munsif agar to
hamen Dar hi nahin koi saza ka
unhin ne maut phaila.i thi pahle
jinhen byopar karna tha dava ka
bala hai vo bala haan Thiik hai par
koi to toḌ hoga is bala ka
hamara hashr bhi sanjidgi se
bahana DhunDhta hai ibtida ka
suḳhnavar bevafa ho lazmi hai
ta.alluq sha.iri se kya vafa ka
Leave a Reply