halat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin
asal men us aadmi men ḳhu-e-insani nahin
aisi bedardi se us ko mat bahao ḳhaak par
ḳhun-e-insan ḳhun-e-insan hai koi paani nahin
ruuh ka rishta kabhi kya toḌ paa.i hai qaza
zindagi faani hai lekin ruuh to faani nahin
jis ki ḳhushbu se mo.attar raat bhar rahta tha main
mere ghar ke paas ab vo raat ki raani nahin
main ta.ajjub men huun ye kaisa zamana aa gaya
chand men ThanDak nahin suraj men tabani nahin
phir tire uupar na TuuTe kyuun azabon ka pahaḌ
tere andar ik zara bhi bu-e-imani nahin
yuun na apne chahne vaale ko rusva kijiye
ye to andaz-e-suluk-e-dilbar-e-jani nahin
kyuun nahin tufan ka manzar teri chashm-e-shauq men
kyuun tire dariya-e-dil men ab vo tughyani nahin
mutma.in hai ishq bhi sham-e-alam ke bavajud
husn ke chehre pe bhi aks-e-pareshani nahin
ishq men bhi tu na pa.ega kahin mera javab
jan-e-man jo husn men koi tira saani nahin
ai ‘zafar’ paale hue hain vo bhi duniya ki havas
ab faqir-e-ishq men bhi bu-e-irfani nahin
Leave a Reply