dil jo murda ho to ye rashk-e-jinan kuchh bhi nahin
laala ho sabza ho ya ab-e-ravan kuchh bhi nahin
ye dahakte hue ghunche ye sulagte hue dil
har taraf soz-e-darun harf-e-zaban kuchh bhi nahin
pyare daman se juda ho ga.e main ne dekha
hasraten bolin miyan umr-e-ravan kuchh bhi nahin
lafz-o-ma.ani men jo rishta hai vo buniyadi hai
sirf alfaz ka ik sail-e-ravan kuchh bhi nahin
karda-na-karda gunahon men kaTi umr-e-aziz
log kahte hain ziyan varna ziyan kuchh bhi nahin
barish-e-sang ho shishe ki kamin-gahon se
kaise farzane ho shishe ka makan kuchh bhi nahin
ḳhvab se ḳhvab men ik umr giraftar raha
ab khala ḳhvab ba-juz vahm-o-guman kuchh bhi nahin
Leave a Reply