chaḌhi tere bimar-e-furqat ko tab hai
bashiddat qalaq hai nihayat ta.ab hai
mariz-e-mohabbat tira jan-ba-lab hai
tajahul sitam hai taghaful ghazab hai
vo aafat hai aafat hai aafat hai aafat
ghazab hai ghazab hai ghazab hai ghazab hai
gali yaar ki hai qadam rakhkhun kyun-kar
chalun sar ke bal yaan maqam-e-adab hai
jo abru dikhaya to aariz bhi dikhla
vo qur.an hai ye hilal-e-rajab hai
hui sub.h-e-piri kaTi ab javani
ye jalna faqat sham.a-san shab ki shab hai
vo zulf-e-siyah hai ki mushk-e-ḳhutan hai
nahin ḳhat savad-e-dayar-e-halab hai
khula kuchh na mujh par na aane ka mansha
jihat kuchh to farma.iye kya sabab hai
jo shajara tha majnun ka shajara hai mera
jo tha qais ka silsila vo nasab hai
ghanimat samajh vaqt-e-fursat ko ghafil
na haath aa.ega phir ye mauqa.a jo ab hai
ḳhuda ki ḳhuda.i ka jalva hai o but
ye husn-e-javani nahin shan-e-rab hai
karun kyuun na saman-e-ishrat muhayya
shab-e-vasl-e-dilbar urusi ki shab hai
jise log kahte hain shah-e-ḳhurasan
vo be-shubah ibn-e-amir-e-arab hai
ghulam us ka huun jo hai kausar ka saaqi
jabhi ‘rind’ mai-ḳhvar mera laqab hai
Leave a Reply