zamane ke taghaful se jo har lamha bikharti hai
suna hai aap ke dar par vahi qismat sanvarti hai
tasavvur se hi jis ke aj-kal ye ruuh Darti hai
nazar ke samne ya-rab vahi surat ubharti hai
kami hogi na hargiz asman tere ḳhazane men
zara si chandni gar mere angan men utarti hai
ka.i dariyaon ka paani yaqinan us se kam hoga
musibat jis qadar aansu miri ankhon men bharti hai
vahin apni bhi kashti aa ga.i tufan ki shiddat se
jahan par zindagi barbad ho kar aah bharti hai
mahakte the mire din raat jis ki mezbani se
vo ḳhushbu aj-kal jaane kahan parvaz karti hai
suna.en kya ham apne haal ko bas muḳhtasar ‘tashna’
hamari zindagi bhi aj-kal yunhi guzarti hai
Leave a Reply