• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zamana Ab Ye Kaisa Aa Raha Hai

Zamana Ab Ye Kaisa Aa Raha Hai

zamana ab ye kaisa aa raha hai

ki har badmast sambhla ja raha hai

jalati hai ḳhirad sham.on pe sham.en

andhera hai ki baḌhta ja raha hai

dua.en kar rahe hain ahl-e-sahil

safina hai ki Duuba ja raha hai

magar baḌhti nahin hai baat aage

zamana hai ki guzra ja raha hai

bhara tha rang jis ḳhake men barson

vo ḳhaka yak ba yak dhundla raha hai

mohabbat aap hi manzil hai apni

na jaane husn kyuun itra raha hai

main ḳhud tasvir banta ja raha huun

tasavvur men mire kaun aa raha hai

kisi se phir mohabbat ho rahi hai

mujhe phir pyaar dil par aa raha hai

nigah-e-ishq ki vus.at na puchho

jahan-e-husn simTa ja raha hai

juda us ko na samjho karvan se

‘imam’ ik bankpan se aa raha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ab Khak To Kiya Hai dil Ko Jala Jala Kar

Jidhar Bhi Dekhiye Ek Rasta Bana Hua Hai

nida-fazli

Apna Gham Le Ke Kahin Aur Na Jaya Jae

Apne Sab Chehre Chhupa Rakkhe Hain Aaine Mein

Mujhe to Ye Bhi Fareb-E-Hawas Lagta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet