nalon se mere kab tah-o-bala jahan nahin
kab asman zamin-o-zamin asman nahin
qatil ki chashm-e-tar na ho ye zabt-e-ah dekh
juun shama sar kate pe utha yaan dhuan nahin
ai bulbulan-e-shoala-dam ik naala aur bhi
gum-karda-rah-e-bagh huun yaad ashiyan nahin
is bazm men nahin koi agah varna kab
vaan khanda zer-e-lab udhar ashk-e-nihan nahin
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq men
ik jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
naz-o-nigah ravish sabhi laagu hain jaan ke
hai kaun ada vo teri ki jo jan-sitan nahin
milna tira ye ghair se ho bahr-e-maslahat
ham ko to sadgi se tiri ye guman nahin
azurda tak bhi kuchh na hai us ke ru-ba-ru
maana ki aap sa koi jadu-bayan nahin
Leave a Reply