• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sabza Tumhaare Rukh Ke Liye Tang Ho Gaya

Sabza Tumhaare Rukh Ke Liye Tang Ho Gaya

poet

sabza tumhare rukh ke liye tang ho gaya

tuuti ka aks aaine men zang ho gaya

past-o-buland dahr men khata huun thokaren

aisa samand-e-umr-e-ravan lang ho gaya

bismil ko bhi tadapne ki milti nahin jagah

kya arsa-e-hayat-e-jahan tang ho gaya

ham-zad se bhi ye tan-e-laghar hua subuk

tola to apne saaye ka pasang ho gaya

josh-e-junun ne jism ke purze uda diye

rakht-e-barahnagi bhi mujhe tang ho gaya

us but se jism-e-zar jo lipta shab-e-visal

aalam ko ehtimal-e-rag-e-sang ho gaya

mazmun-e-ah-e-garm ne jalva dikha diya

ud kar hava men naama mira chang ho gaya

naale kiye tasavvur-e-gesu men raat bhar

dil ham-safir-e-murgh-e-shab-ahang ho gaya

sar kat ke gir pada usi qatil ke paanv par

jallad se milap dam-e-jang ho gaya

ud ud ke mere chehre par ai shokh rah gaya

murgh-e-shikasta-bal mira rang ho gaya

karta raha lughat ki tahqiq umr bhar

aamal-nama nuskha-e-farhang ho gaya

munh tak bhi zoaf se nahin aa sakti dil ki baat

darvaza ghar se saikdon farsang ho gaya

mahrum huun main khidmat-e-ustad se ‘munir’

kalkatta mujh ko gor se bhi tang ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aawara Hun Rain-Basera Koi Nahin Mera

Hawa-E-Zindagi Bhi Kucha-E-Qatil Se Aati Hai

poet

Phiri Si dekhta Hun Is Chaman Ki Kuchh Hawa Bulbul

Shamil-E-Karwan to Hum Bhi Hain

sahir-ludhianvi

Jo Baat Tujh Mein Hai Teri Taswir Mein Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet