zaḳhm sahe mazduri ki
saans kahani puuri ki
jazbe ki har konpal ko
aag lagi majburi ki
chup aaya chup lauT gaya
goya baat zaruri ki
us ka naam labon par ho
saa.at ho manzuri ki
kitne suraj biit ga.e
rut na ga.i be-nuri ki
paas hi kaun tha ‘aslam’ jo
karen shikayat duuri ki
Leave a Reply