zaḳhm koi ik baḌi mushkil se bhar jaane ke ba.ad
mil gaya vo phir kahin dil ke Thahar jaane ke ba.ad
main ne vo lamha pakaḌne men kahan taḳhir ki
sochta rahta huun ab us ke guzar jaane ke ba.ad
kaisa aur kab se ta.alluq tha hamara kya kahun
kuchh nahin kahne ko ab us ke mukar jaane ke ba.ad
mil raha hai sub.h ke taare se jaata mahtab
raat ke tarik ziine se utar jaane ke ba.ad
kya karun aḳhir chalana hai mujhe kar-e-jahan
jam.a ḳhud ko kar hi leta huun bikhar jaane ke ba.ad
zaḳhm ik aisa hai jis par kaam ab karta nahin
vaqt ka marham zara sa kaam kar jaane ke ba.ad
chup hain yuun chizen ki khul kar saans bhi leti nahin
jaise ik sadme ki halat men huun Dar jaane ke ba.ad
hain navah-e-dil men ‘shahin’ kuchh nashebi bastiyan
Dubta rahta huun un men paani bhar jaane ke ba.ad
Leave a Reply