zaḳhm kha ke ḳhandan hain pairahan-darida ham
zindagi ka nauha ham vaqt ka qasida ham
jaane tab.a ke hathon kaun ghaaT utrenge
shahr se gurezan ham dasht se ramida ham
zindagi ki ankhon men rat-din khaTakte hain
ḳhas jo hain to la-sani ḳhaar hain to chida ham
barg barg taaza hai zaḳhm zaḳhm rista hai
mausam-e-baharan men shaḳh-e-nau-burida ham
bazm-e-rang-o-naghma men kaun multafit hoga
ah-e-na-kashida ham harf-e-na-shanida ham
Leave a Reply