zakhm ke rang hain kya meri rida janti hai
kis ne ki kis se vafa khud ye vafa janti hai
ab qafas aur gulistan men koi farq nahin
ham ko khushbu ki talab hai ye saba janti hai
khud-parasti ke mahallat men rahne vaalo
zalzala aane ko hai larzish-e-pa janti hai
main nahin janta daryuza-gari ko lekin
mere lab par hai dua kya ye dua janti hai
kashti-e-umr miri dol rahi hai ‘abid’
sahil-e-zist ki aluda hava janti hai
Leave a Reply