zaḳhm ke phuul se taskin talab karti hai
ba.az auqat miri ruuh ghazab karti hai
jo tiri zulf se utre hon mire angan men
chandni aise andheron ka adab karti hai
apne insaf ki zanjir na dekho ki yahan
muflisi zehn ki fariyad bhi kab karti hai
sehn-e-gulshan men havaon ki sada ghaur se sun
har kali matam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai
sirf din Dhalne pe mauquf nahin hai ‘mohsin’
zindagi zulf ke saa.e men bhi shab karti hai
Leave a Reply