zahr par zahr chal nahin sakta
saanp bichchhu nigal nahin sakta
tajraba laakh kijiye is par
phir bhi patthar pighal nahin sakta
bhuul baiThunga tujh ko jiite ji
main to itna badal nahin sakta
ghair ki Taang khinch kar bhaa.i
koi aage nikal nahin sakta
us ki marzi agar nahin hogi
girne vaala sambhal nahin sakta
noch sakta hai vo hamara par
azm lekin kuchal nahin sakta
Leave a Reply