jahan bhar men mire dil sa koi ghar ho nahin sakta
ki aisi ḳhaak par aisa samundar ho nahin sakta
ravan rahta hai kaise chain se apne kinaron men
ye dariya meri betabi ka maz.har ho nahin sakta
kisi ki yaad se dil ka andhera aur baḌhta hai
ye ghar mere sulagne se munavvar ho nahin sakta
bahut be-tab hota huun main us ko dekh kar lekin
sitara teri ankhon se to baḌh kar ho nahin sakta
ye mauj-e-umr har shai ko bahut tabdil karti hai
magar jo saans leta hai vo patthar ho nahin sakta
main us duniya men rahta huun ki jis duniya ke logon ko
ḳhushi ka ek lamha bhi mayassar ho nahin sakta
Leave a Reply