ye dil avezi-e-hayat na ho
agar ahang-e-hadsat na ho
teri narazgi qubul magar
ye bhi kya bhuul kar bhi baat na ho
ziist men vo ghaḌi na aa.e ki jab
haat men mere tera haat na ho
hansne vaale rula na auron ko
sub.h teri kisi ki raat na ho
ishq bhi kaam ki hai chiiz agar
yahi bas dil ki ka.enat na ho
kaun us ki jafa ki laa.e taab
gaahe gaahe jo iltifat na ho
rind kuchh kar rahe hain sargoshi
zikr-e-‘mulla’ se ḳhush-sifat na ho
Leave a Reply