jab dhyan men vo chand sa paikar utar gaya
tarik shab ke siine men ḳhanjar utar gaya
jab sab pe band the miri ankhon ke raste
phir kaise koi jism ke andar utar gaya
sahil pe Dar gaya tha main lahron ko dekh kar
jab ghota-zan hua to samundar utar gaya
ik bhi lakir haath pe baaqi nahin rahi
dast-e-talab se naqsh-e-muqaddar utar gaya
vo aa.ine ke samne kya runuma hue
saada varaq ke rang ka manzar utar gaya
chehre ki tez dhaar bhi bekar ho ga.i
jab chashm-e-ab-dar se jauhar utar gaya
kis darja dil-fareb thi daane ki shakl bhi
panchhi hare shajar se zamin par utar gaya
Leave a Reply