kali kali ka badan phoḌ kar jo nikla hai
vo zindagi ka nahin maut ka taqaza hai
har ek jhuTa payambar hai ye bhi Thiik nahin
kahin kahin to magar sab ke saath ghapla hai
main us ka barf badan raundh kar pasheman huun
magar jo duur khaḌe hain unhen vo sho.ala hai
jo thukta hai har ek chiiz ko andhere se
kabhi kabhi vahi din mujh men Duub jaata hai
har ek samt ghalazat bhare samundar hain
magar ye main ne kinare khaḌe hi samjha hai
Leave a Reply