bal paḌne laga abru-e-ḳhamdar ke uupar
aa jaa.e na aafat kahin do-char ke uupar
qatrat-e-araq hain nahin ye silk-e-guhar hain
kya aks-fagan us ruḳh-e-gulnar ke uupar
ḳhun-rezi pe bandhega kamar jab ki vo saffak
gulzar bana dega tan-e-zar ke uupar
bosa jo talab main ne kiya bole ye aghyar
talvar chalegi isi takrar ke uupar
va.ada kiya aane ka par aa.e nahin hargiz
kya ho.e yaqin aap ke iqrar ke uupar
ḳhubon ko mohabbat hai buron se bhi ki juun gul
rahta hai sada saya-fagan ḳhaar ke uupar
tasir hai taqrir men us shoḳh ki itni
ḳhamosh huiin bulbulen guftar ke uupar
Leave a Reply