zahr-e-gham kaam kar gaya shayad
koi jaan se guzar gaya shayad
dil ajab halat-e-qarar men hai
zaḳhm-e-ummid bhar gaya shayad
chand ik saath saath chalta tha
raat ke paar utar gaya shayad
meri manzil pukarti thi mujhe
lauT kar vo bhi ghar gaya shayad
ab jo hamrah koi chaap nahin
aḳhiri ham-safar gaya shayad
maut kyon is qadar aziiz hui
ziist se koi Dar gaya shayad
Leave a Reply