Junun-E-Ishq Na Kar Iztirab Ki Tauhin

junūn-e-ishq na kar iztirāb kī tauhīn

ye āh-e-nīm-shabī hai shabāb kī tauhīn

jis anjuman ko banāyā thā ham ne rashk-e-iram

vahīñ huī dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī tauhīn

yahī tazād to raunaq-faroz-e-ālam hai

nahīñ ye tīra-shabī āftāb kī tauhīn

nazar uThā ki nazāroñ meñ jaan paḌ jaa.e

hijāb-e-kam-nazarī hai hijāb kī tauhīn

ḳhayāl-e-tauba mujhe yuuñ to hai magar saaqī

na hogī mujh se shab-e-māhtāb kī tauhīn

Leave a Comment