sukut-e-arz-o-sama men ḳhuub intishar dekhun
ḳhala men apni sada ka phaila ghubar dekhun
ajab nahin hai ki aa hi jaa.e vo ḳhush-sama.at
dayar-e-dil se main kyuun na us ko pukar dekhun
khaḌi hai divar ansuon ki mire barabar
to kis tarah main tiri tamanna ke paar dekhun
bikharta jaata huun jaise tasbih ke hon daane
jab us ke aansu qatar-andar-qatar dekhun
vo mera isbat chahta hai so jabr ye hai
main apne hone men us ko be-iḳhtiyar dekhun
jo ek dam men tamam ruhon ko ḳhaak kar de
badan se uḌta hua ik aisa sharar dekhun
bahut dinon se vahan main apna hi muntazir huun
to ḳhud ko ik din tiri gali se guzar dekhun
Leave a Reply