na pūchh rāh-e-talab meñ kidhar se guzrā huuñ
tire hī paas se guzrā jidhar se guzrā huuñ
ḳhudā gavāh ki dil meñ ḳhulūs-e-ġham le kar
ba-ehtirām shab-e-be-sahar se guzrā huuñ
tirī nazar ko bhī ab tak ḳhabar nahīñ ai dost
is ehtiyāt se terī nazar se guzrā huuñ
tire ḳhayāl ko bhī Thes lag na jaa.e kahīñ
bahut sañbhal ke ġham-e-mo’tabar se guzrā huuñ
kabhī kabhī to ik aisā maqām aayā hai
maiñ husn ban ke ḳhud apnī nazar se guzrā huuñ
bas is qadar hai mirī sharh-e-sarguzasht-e-hayāt
kisī kī ik nigah-e-muḳhtasar se guzrā huuñ
kise batā.ūñ kyā ai ‘ārzū’ maiñ kitnī baar
ḳhud un ke zehn meñ un kī nazar se guzrā huuñ