main jahan tum ko bulata huun vahan tak aao
meri nazron se guzar kar dil-o-jan tak aao
phir ye dekho ki zamane ki hava hai kaisi
saath mere mire firdaus-e-javan tak aao
hausla ho to udo mere tasavvur ki tarah
meri takhil ke gulzar-e-jinan tak aao
tegh ki tarah chalo chhod ke aghosh-e-niyam
tiir ki tarah se aghosh-e-kaman tak aao
phuul ke gird phiro baagh men manind-e-nasim
misl-e-parvana kisi sham-e-tapan tak aao
lo vo sadiyon ke jahannam ki haden khatm huiin
ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao
chhod kar vahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho
par yaqin se bhi kabhi vahm-o-guman tak aao
isi duniya men dikha den tumhen jannat ki bahar
shaikh-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao
Leave a Reply