zahiran maut hai qaza hai ishq
par haqiqat men jan-faza hai ishq
deta hai laakh tarah se taskin
maraz-e-hijr men dava hai ishq
ta-dam-e-marg saath deta hai
ek mahbub-e-ba-vafa hai ishq
dekh ‘nassakh’ gar na hota kufr
kahte be-shubah ham khuda hai ishq
Leave a Reply