mujhe banane men sab ka ḳharcha laga hua hai
kisi ka loha kisi ka tanba laga hua hai
nahin hai apna koi bhi duniya jahan men lekin
kisi ko khone ka mujh ko ḳhadsha laga hua hai
kabhi thi ThanDi zamin saa.e se jin ke logo
hamara aise shajar se shajara laga hua hai
vo shoḳh laḌki hasin chehra kamal baten
suna hai us ka kisi se rishta laga hua hai
mujhe hamesha se batri kah ke hansne vaali
tujhe hi takne se mujh ko chashma laga hua hai
kisi ki ankhen kisi ka dil itna kah ke ‘janbaz’
vo puchhta hai ki tera kya kya laga hua hai
Leave a Reply