kaali kaali ghata barasti hai
aaj kya lutf-e-mai-parasti hai
khush lage dil ko kyuun na virana
ashiqon ki yahi to basti hai
aaj mahfil men ye khayal rahe
kis ki janib se pesh-dasti hai
jab ki is ka bhi hai maaal yahi
mai-parasti bhi faqa-masti hai
ek tir-e-nazar idhar maaro
dil tarasta hai jaan tarasti hai
bosa milta hai jaan ke badle
‘mashriqi’ khuub jins sasti hai
Leave a Reply